Ye Company Krne Jarhi 850 Rupees/Share ke Hisab Se Buyback

Aap sabhi ne haal hi me Infosys dwara Share BuyBack ki NEWS to suni hi hogi.

Aaj ham ek or company ke bare me batane chal rhe jisne Share Buyback krne ka ailan kiya hai.

Stock market ki sabhi companiyan Second Quarter ke result release kar rahi hain.

Aise me kuch compnies ya to dividend offer kar rahi hain ya fr kuch companies bonus share ya Buyback bhi kar rahi hain .

Stock market ki aisi hi ek company hai jisne Share Buyback ka ailaan kiya hai jiska naam hai "Dhanuka Agritech"

Buyback krne ki record date 18 November rakhi gai hai.

Company ne 850 Rupay/Share ke hisab se 10 Lakh share buyback krne ka faisla kia hai.

Dhanuka Agritech ka dusri teemahi me 15 percent ka ijafa dekhne ko mila hai or 73 Crore ka profit hua hai.

Is saal companio ke share me 6.98 percent ki girawat dekhne ko mili hai.

Pichhle 1 mahino me share me 10 percent ki teji dekhne ko mili hai.